Coronavirus Epidemic Se Bachne Ki Kuch Savdhaaniyan (#StayHome #StaySafe)

Dear Readers,
Aap sabhi Novel Corona Virus ko halke me na le.
Novel Coronavirus (COVID-19, SARS-CoV-2) ye sabhi ek hi virus ke naam hai.

Aap bina kisi bahot jaruri kaam ke ghar se bahar na nikale aur naa hi apne family members ko bahar jaane dein.
Doctors ke pass ya hospitals me bhi bahot jaruri hone par hi jaaye.

Agar aap bahar jaate hai, jaise kisi bank me, dukaan me, post office ya kahi bhi, to wahan kisi bhi chij ko jaise table ko, chair ko ya door hadles ko touch karne se bachiye. Har vyakti se kam se kam 1-2 meter ki duri banaye rakhiye, crowded places ko avoid kijiye.

 

Indian govt. aur health experts dawara diye gaye sujhav jaise Social distancing aur Frequently hand washing ka imaandaari se palan kijiye aur pure desh ko Corona se snkarmit hone se bachahiye.

Sirf jaruri samaan kharidne ke liye ghar se bahar nikaliye, jaise food items or medicines etc.
Kapde, jutte, bartan aur non-important samaan ki kharid ek mahine tak avoid kare.

Jitna ho sake cash me len-den karne se bache, ye virus note circulation se bhi felta hai.

Ghar se bahar nikal kar ya kisi bahar ke vyakti se milne ke baar apne muh, naak, aakhen aur jeebh ko touch na kare.

Bhar ka khana jaise junck food, ice cream, restaurant or dhabe ke khana puri tarah se avoid kare, aur ghar par bana taja khana hi khaye.

Bahar se laye gaye samaan ko sidhe apne ghar ya kitchen ke andar na le jaye. Samaan ko ek din ghar ke bahar rehne dijiye aur uske baad ghar ke andar laaiye.

Ghar me baar baar sanitizer use karne ki jarurat nahi hai. Jab kabhi aap ghar se bahar se aaye to sabun se apne hath aur muh aur open parts ko achhi tarah se dhoye.

Ghar me rehne ka matlab sirf apne ghar me rehna hai. Iska matlab ye nahi hai ki aap apne ghar ke aas pass pados me ya park me padosiyon ke sath kisi tarah ki charcha kare, kisi bhi dost, saheli ya relative se phone par hi contact kare.

Ek baat yaad rakhiye ki coronavirus se kisi ko bhi infection ho sakta hai, chahe wo bimaar ho ya nahi ho.

Dhyan rakhiye coronavirus se infected vyakti 2 se 14 din tak bina koi symptom show kiye, ye virus aage kai logo me fela sakta hai.

Isliye kisi se hath na milye, Kisi ke pair na chhuye aur gale na mile, pith na thap-thapaye aur sar par hath rakh kar aashirvaad na dein.

Corona se dariye nahi, aisa nahi hai ki isse infect hote hi death pakki hai. Bahot se log infected hone ke baad thik ho rahe hai, kyoki abhi tak iska death rate kam hai.

Prevention hi sabse achha ilaaj hai.

Sabhi readers se request hai ki is message ko sabhi sabhi friends or relatives tak jarur pahochaiye.

Har ek vyakti dawara ki gayi rokthaam or savdhaniyan unke khud ke liye, unki family ke liye, padosiyon ke liye, desh ke liye beneficial hai aur important hai.

DesiKahani Team

Leave a Comment