Haaye ye ladki

Hello doston, main Sid aaj fir ek kahani leke haazir hu. Sach ya jhooth aap decide kare, aur kahani padh ke enjoy kare. Jaisa ki aapko pata hai, main ek NRI hu aur filhaal India mein hi reh ke padh raha hu.

Meri height 6’2″ inch. Weight 76 kg hai, shakal se main bahut handsome hu, aur akal se bahut smart hu. Age meri 25 hai.

Agar aapne meri pichli kahani padhi hogi to aapko pata hoga main ek sub urban town mein reh ke CAT exam ki taiyaari kar raha hu. To hua kuch aisa hai ek shaam main doodh lene gaya hua tha.

But abhi tak doodh nikala nahi gaya tha. To main wahi pe khada hoke phone use karne laga. Waha pe kuch aunties wagaira bhi thi. Wo log aapas mein baatein kar rahi thi.

Kuch der mein waha ka maalik doodh dene laga sab ko, to main ek aunty ke peeche jaa ke khada ho gaya, aur kuch der mein mera bhi number aa gaya. Maine doodh liya aur ghar aa gaya. Kuch khaas nahi hua doston us din.

Aise hi kuch din chalta raha. Waha ki aunties aur bhabhies mujhe ab gaur se dekhne lagi. Kareeb ek week ke baad ek aunty ne aake bola:

Aunty: Kiske yaha rehte ho beta?

Main: Ye Anuj ji ke yaha aunty.

Aunty: Kaun lagte hai wo tumhare?

Main: Mere papa.

Aunty: Par wo to London mein rehte hai na, family ke sath.

Main: Ji.

Aunty: To tum yaha?

Main: Main yaha padhne aaya hu aunty.

Aunty: But maine to suna hai ki London ke college best hai.

Main: Ji nahi aunty. Best to apna Bharat hi hai. Bas yaha pe ache colleges mein best students ko hi entry milti hai.

Aunty: Haa, ye to hai. Tum kis cheez ki padhayi kar rahe ho?

Main: MBA ki taiyaari kar raha hu. Filhal BTech complete kiya hu IIT se.

Aunty: IIT?

Main: Ji aunty.

Aunty: Padhne mein kaafi tez hoge.

Main: Ji aunty, padhna pasand hai mujhe.

Ye sab baat hui aur wo chali gayi doodh leke, aur main bhi apne ghar aa gaya. Ghar aake kya kiya ye nahi bataunga. Uski alag story aayegi.

Khair main agle din fir gaya doodh lene, aur wo aunty dikhi, aur mujhe dekhte hi mere paas aayi. Lag raha tha wo mera hi intezaar kar rahi thi.

Aunty: Hi, kal tumne apna naam nahi bataya.

Main: Mera naam Siddhart hai aunty.

Aunty: Waah, waise mujhe tumse ek kaam hai.

Main: Ji boliye.

Aunty: Tumhe to pata hoga ye shehar bahut chhota hai, aur yaha pe bahut saari facilities nahi hai.

Main: Aunty aap clearly bolo.

Aunty: Beta baat aisi hai ki meri beti ka 1st year ka exam hai, aur yaha pe ache tuition teacher nahi hai senior classes ke. To kya tum meri beti ko tuition padha doge? Tumne to IIT se engineering ki hai. Kya tum meri help karoge?

Main: Nahi aunty, main koi teacher nahi hu, aur na hi mere paas time hai. Mujhe khud bahut padhna rehta hai. To mere se nahi ho payega.

Aunty: Ek ghanta bhi nahi de sakte kya?

Main: Nahi aunty.

Aunty thoda udas ho gayi.

Aunty: Theek hai, maine hi galat umeed laga li thi.

Mere kaaran kisi ko bura feel hota hai to mujhe acha nahi lagta.

Main: Aunty, naraaz na ho aap. Ek kaam karo, apni beti ko aap mere paas ghar hi leke aao. Main bhi padhuga aur usko bhi padha doonga. Aur mujhe koi paise bhi nahi chahiye.

Aunty khush ho gayi

Aunty: Pakka?

Main: Ji.

Aunty: Kab se lau?

Main: Kal se.

Aunty: Kitne baje?

Main: Shaam mein, yaha se jaane ke baad.

Aunty: Okay, apna phone number dedo.

Maine number de diya, aur aunty chali gayi. Agle din main doodh lene gaya, aunty dikhi aur boli-

Aunty: Main aati hu abhi apni beti ko leke tumhare ghar. Maine bola: Theek hai aunty.

Main ghar aa gaya aur phone chala raha tha. Tabhi bell baji. Gate khola to saamne aunty aur unke peeche unki beti. Maine uspe gaur nahi kiya, aur andar bithaya sofe pe. Aunty idhar-udhar dekhne lagi, aur fir boli-

Aunty: Akele rehte ho?

Main: Ji.

Aunty: Main daily to nahi ruk paungi yaha. Koi dikkat to nahi hoga Suhani ko?

Main: Hawa aur paani mil jayega aunty yaha. 2-3 ghante ke liye wo sufficient hona chahiye.

Wo ladki meri baat sun ke muskura di.

Aunty: Nahi, matlab tum akele ladke ho.

Main: Aunty maine aapki problem samajhne mein help ki. Aur mere hi character pe shak?

Aunty: Ek beti ki maa hu, darr to lagta hi hai.

Main: Nahi dariye aunty, behan hai ye meri.

Aunty: Haa, ye acha bola tumne.

Main: Chai piyengi aap?

Aunty: Nahi takleef mat uthao.

Main: Takleek kya hai? Mehman ko to chai-paani ke poocha hi jata hai.

Aunty: Theek hai, bana lo.

Main 2 cup chai banata hu. Maine us ladki se poocha bhi nahi ki tum piyogi ya nahi?Gazab chutiya hu main. Khair aunty chai pee rahi thi, aur main bhi uski books mein chapters dekh raha tha.

Maine bola: Ho jayega aunty.

Aunty: Pakka?

Main: Ji, but ab aapko jana padega. Kyunki aap yaha rehengi to mujhe akward lagega.

Aunty: Haa main jaa rahi hu. But iske lautne ke time raat ho jayegi, to kya tum please isko ghar tak chhodh doge?

Main: Behan bola hu isko, to farz hoga ye mera.

Aunty fir chali gayi. Fir maine us ladki se poocha-

Main: Tumhara naam kya hai?

Wo: Mummy boli thi naam to nahi suna aapne.

Main: Nahi, dhyan nahi diya.

Wo: Hmm, dhyan dete to behan nahi bolte.

Main: Kya?

Wo: Kuch nahi. Mera naam Suhani hai, aur aapka?

Main: Sid.

Wo: NRI ho?

Main: Hmm

Suhani: Kon si IIT mein gaye the?

Main: Roorkee

Suhani: Kon sa course?

Main: Computer science.

Suhani: Job ku nahi liya?

Main: Mera interview lene aayi ho?

Suhani: Haa.

Main: Maths kholo aur padhna start karo, jaha pe problem hogi, mujhse poochna.

Suhani: Tum padha loge?

Main: Nain sab padha loonga.

Suhani: Mere liye chai to nahi bana paye.

Main: Bachhi ko chai nahi peeni chahiye.

Suhani: Oh hello, ho to tum NRI. But tumhari soch Indian hai.

Main: Ye Indian soch bahut achi hai. Isme fikar hai.

Suhani: Mujhe behan kyun bola?

Main: Tumhari mummy ka dil halka karne ke liye.

Suhani: Matlab maante nahi ho na?

Main: Maan loonga kuch time mein.

Suhani: Ji nahi.

Main: Boyfriend nahi hai tumhara?

Suhani: Hai. Tumhari hai girlfriend?

Main: Nahi, mujhe pyar pe bharosa nahi hai.

Suhani: Kyun?

Main: Book nikaal ke padho. Sawaal jawaab book se karna. Meri personal life se nahi.

Suhani: You’re rude.

Main: Nope, bas main tumhare itna frank nahi hu.

Suhani: Kyun?

Main: Arre padho.

Suhani: Theek hai.

Wo kuch der padhti hai, aur fir main usko ghar chhodh aata hu, jaha uski mummy mujhe andar bula ke khaana khila deti hai, aur uske baare mein poochti hai ki padhayi mein wo kaisi thi, aur ye wo.

Fir main ghar laut aata hu.

Story continue rehegi.

Agla bhaag padhe:- Haaye ye ladki-2

Leave a Comment