Swapping Ki Ek Hasin Raat – Episode 2

This story is part of the Swapping Ki Ek Hasin Raat series

    Ab tak aapne padha ki husband wife Rohan aur Rashi apne college friend Kabir ki shadi mein jaane ki taiyari kar rahe the, wohi Kabir jo college time se chupke se Rashi ko chaahta tha aur Rashi ke dil mein bhi Kabir ke liye jagah thi. Rashi aur Rohan ke beech pyaar bhari takraar chal rahi thi aur wo taiyar bhi ho rahe the.

    Ab aage…

    Ek taraf Rashi aur Rohan taiyar ho rahe the to dusri taraf Ujjawal aur Urvi bhi Kabir ki shaadi mein jaane ke liye taiyari kar rahe the. Ujjawal bhi college mein un dosto ke group ka member tha jisme Rohan, Rashi aur Kabir the.

    Ujjawal: “Kiska phone tha Urvi?”

    Urvi: “Rohan ka call tha. Kah raha tha ki wo aur Rashi taiyar hona shuru ho gaye hain aur hum bhi taiyar rahe”

    Ujjawal: “Kamina kahi ka, mujhe aajkal phone nahi karta aur tumhe phone karke hi sab bata deta hain. Aur tum itna kya dhoondh rahi ho?”

    Urvi: “Maine abhi apni cream color ki saaree yaha kahi rakhi thi aur abhi mil nahi rahi hain”

    Ujjawal: “Chhoda no, itni saareeya hain, kuchh aur le lo”

    Urvi: “Rohan ne specially request ki thi ki main wo cream saree jarur lu pahanane ke liye. Main aaj ladies sangeet mein wohi saaree pahanane ke baare mein soch rahi thi”

    Ujjawal: “To ab Rohan decide karega ki tum kya pahanane wali ho!”

    Urvi: “Aesa nahi hain. Usne kal bhi mujhse kaha tha, aur abhi bhi yaad dilaya. Kuchh mahine pehle hamari shaadi ke baad mere pahle birthday par usne jab mujhe us ceam saree mein dekha tha to meri saaree ki bahut taarif kar raha tha, usko wo saaree bahut achchhi lagi thi. Tum hi to laaye the mere birthday gift ke taur par, bhool gaye!”

    Ujjawal: “Wo Rohan to tumhaari har chij ki aese hi taarif karke maska maarta rahta hain. Tum uski baat kya seriously le rahi ho!”

    Urvi: “Koi to hain jo meri taarif karta hain. Tumhaare muh se to taarif ke kabhi do shabd nahi nikalte. Kam se kam shaadi ke baaad 2-3 saal tak to biwi ki taarif karni hi chaahiye. Abhi to main jawaan hoon, jab thodi umra badh jaayegi tab kya taarif karoge!”

    Tabhi dusre kapdo ke neeche dabi wo cream saaree Urvi ko mil hi gayi aur wo khush huyi aur us saree ko apne bag mein rakh liya.

    Ujjawal: “Kitni der mein aa rahe hain Rohan aur Rashi humein pick karne?”

    Urvi: “Ek ghante mein. Tum taiyar ho jao”

    Urvi ne bag band kiya aur abhi pahanane ke liye kapde nikaal liye aur apne husband Ujjawal ke liye bhi kapde nikaal diye.

    Ujjawal: “Kabir ki shaadi mein to ja rahe hain par usne abhi tak apni hone wali dulhan ka naam tak nahi bataya hain”

    Urvi ne apne pahne huye kapde khol diye aur bra aur panty mein khadi ho gayi aur phir apne safar ke liye kapde pahanane lagi.

    Urvi: “Naam mein kya rakha hain! Kal to dulhan dikh hi jaayegi ki kaun hain”

    Ujjawal: “Kabir ne to apni hone wali dulhan ka naam Rashi tak ko nahi bataya, jab ki wo dono itna close hain”

    Urvi: “In Kabir aur Rashi dono ka rishta bhi ajeeb hain. Dono ek dusre ko chaahte hain aur dono ko pata hain magar dono ki shaadi aapas mein nahi huyi aur dosti jaari hain. Yaha tak ki Rashi ke husband Rohan ko bhi pata hain”

    Ujjawal: “Yeh sab us Rohan ka hi kiya dhara hain. Usne hi Rashi aur Kabir ko andhere mein rakha tha ki wo dono ek dusre ko chaahte hain aur khud Rashi ko le uda”

    Urvi: “Tumhara to college time mein kisi ke saath kuchh nahi tha na!”

    Ujjawal: “Tum taiyar hone par dhyaan lagao, tumhaare kandhe par dress se tumhaara bra jhaank raha hain”

    Urvi: “Abhi main puri taiyar kaha huyi hoon, sahi kar rahi hoon”

    Urvi taiyar hone mein lagi thi aur Ujjawal taiyar hokar balcony mein aa gaya aur aasmaan mein dekhne laga. Uske kaano mein Urvi ke shabd goonj rahe the ki kya college mein Ujjawal kisi ladki ko chaahta tha!

    Ujjawal man hi man mein sochne laga “Kaash hum jisko chaahe aur wo asli zindagi mein mil bhi jaaye”

    Ujjawal ek seedha sadha ladka tha. College mein uske group mein Kabir, Rohan aur Rashi ke alawa ek aur ladki thi Zara, jisko wo pyaar karta tha.

    Yeh pyaar ek tarfa nahi tha, Zara bhi Ujjawal ko utna hi pyaar karti thi aur yeh baat sab dosto ko pata thi. Wo dono alag dharm ke the aur unka pyaar anjaam tak nahi pahuch paaya.

    Zara ko apne ghar walo ke aage jhukna pada. Zara aur Ujjawal dono ka dil tut gaya tha. Ujjawal aaj bhi us din ko yaad kar karke udaas ho jata hain.

    2 saal pehle jab Zara ka nikaah hua tha tab Rohan, Kabir aur Rashi sab gaye the magar Ujjawal nahi gaya aur uske dosto ne force bhi nahi kiya tha uski haalat jaan kar.

    Ujjawal ko kaafi time laga apne aap ko sambhaalne mein aur yeh sweekarne mein ki ab Zara uski nahi rahi. Phir 6 mahine pehle Ujjawal ne bhi apne ghar walo ki baat maante huye unki pasand ki ladki Urvi se arranged marriage kar li thi.

    Aasmaan mein dekhte aur Zara ko yaad karte uske gaalo par aansu ludhakane lage tabhi andar se Urvi ki aawaj sunayi di aur apne aansu pocnchhte huye wo phir andar gaya.

    Urvi ko yeh bilkul bhi andaza nahi tha ki Ujjawal ka pyaar koi aur hain jo usko mil nahi paaya tha. Yeh ek kaaran tha jiski vajah se Ujjawal kabhi Urvi ke husn aur kapdo ki taarif nahi kar paya. Haalanki Urvi kaafi khubsurat ladki thi magar Ujjawal ke liye Zara ke saamne Urvi kuchh bhi nahi thi.

    Urvi: “Dekho to main kaisi lag rahi hoon?”

    Ujjawal: “Aese sawaal mujhse mat puchho”

    Urvi: “Achchha yeh to batao ki is dress mein mera clevage jyada to nahi dikh raha na!”

    Ujjawal: “Aese sawaal mujhse naa karo”

    Urvi: “To kya baahar waley se puchhu! Honeymoon par gaye the tab yeh dress pahni thi. Tab to theek hi fit aa rahi thi. Shadi ke baad in 6 mahino mein mere mummo ka size badh gaya hain, sab tumhaari vajah se”

    Ujjawal: “Maine kya kiya?”

    Urvi: “Tumhi to mere mumme chuste rahte ho yeh bol bol kar ki ‘Jara karne do’ ‘Jara karne do’ ”

    ‘Jara’ shabd sunte hi Ujjawal ko phir Zara ki yaad aa gayi aur uske dimaag mein Zara ki tasveer aa gayi. Urvi ne chutki baja kar Ujjawal ka dhyaan bhang kiya.

    Urvi: “Kaha kho gaye, main kuchh puchh rahi hoon?”

    Ujjawal: “Main kapdo par comment nahi karunga, agar tum itne cleavage dikhne se comfortable ho to mujhe koi problem nahi hain”

    Urvi: “Waise achchha hi hua mere mumme tumney bade kar diye, ab main aur aakarshak dikhne lagi hoon”

    Ujjawal: “Jinke chhote mumme hote hain wo ladkiya aakarshak nahi hoti kya?”

    Urvi: “Rashi ke mumme mere jitne bade na sahi par achchhi khaasi size ke bade hain. Khubsurat to khair wo hain hi”

    Ujjawal: “Main Rashi ki baat nahi kar raha tha”

    Urvi: “To aur kaun ladki hain?”

    Ujjawal: “Main general baat kar raha tha. Jin ladkiyo ke mumme chhote hote hain wo bhi achchhi dikh sakti hain”

    Urvi: “Bas, meri taarif chhod kar baaki sabki kar dena”

    Ujjawal: “Tumhari taarif ke liye Rohan hain na!”

    Urvi: “Koi to mera kadradaan hain. Varna main to taarif ke liye taras hi jaati”

    Ujjawal: “Rohan ki yeh shuru se hi aadat rahi hain”

    Urvi: “Magar Rashi itni sundar hain, achchhe kapde pahanti hain aur dikhti bhi hain par kabhi Rohan ko Rashi ki taarif karte nahi suna!”

    Ujjawal: “Shadi se pehle wo Rashi ki bhi bahut taarif karta tha, ab nahi karta hain kyuki wo usko mil chuki hain”

    Urvi:”Tumko bhi main mil chuki hoon isliye tum meri taarif nahi karte!”

    Ujjawal: “Main Rohan ko puchhta hoon wo kitni der mein aa raha hain”

    Urvi: “Rohan ka message aaya tha wo log nikal gaye hain, 15minute mein pahuchate honge”

    Ujjawal aur Urvi ke ghar ke baahar Rohan ne aakar car roki aur baahar aaya jabki Rashi car ke andar hi baithhi rahi. Ujjawal aur Urvi pehle hi bag liye khade the. Ujjawal ne bag andar rakha tab tak Rohan Urvi ke paas aa gaya.

    Rohan: “Wow! Gorgeous lag rahi ho Urvi tum hamesha ki tarah. Tumhaara dress kamaal ka hain”

    Urvi: “Thank you, tum bhi is Tshirt mein cool lag rahe ho”

    Rohan: “Main cool aur tum hot lag rahi ho. Hum dono saath ho jaye to perfect combination ho jayega”

    Urvi: “Aese hi bol rahe ho na! Ujjawal ke hisaab se to mera vajan badh raha hain!”

    Rohan: “Ujjawal ko chhodo, usko beauties ke baare mein kuchh nahi pata”

    Ujjawal ne bag andar rakha aur phir peechhe wali seat par jaakar baithh gaya. Uske aage wali seat par Rashi baithhi thi par koi reaction nahi diya tha.

    Ujjawal ne Rashi ke kandhe par tap karte huye usko jaise jagaya aur Rashi ka ek jhatke mein dhyaan tut gaya aur palat kar peechhe dekha.

    Ujjawal: “Kaha kho gayi thi?”

    Rashi: “Nahi aese hi”

    Ujjawal: “Finally, Kabir shadi kar raha hain. Tum thheek to ho?”

    Rashi: “Main khush hoon ki Kabir shaadi kar raha hain”

    Ujjawal: “Good, main tumhaari haalat samajh sakta hoon ki aese mein kya hota hain”

    Rashi: “Zara ki yaad aa rahi hain tumhe!”

    Ujjawal ne apni gardan naa mein hilaayi aur seat par peethh tikaaye baithh gaya.

    Rashi: “OK, sorry. Yeh dono kaha rah gaye?”

    Ujjawal: “Wohi jo hamesha karte hain. Rohan laga hua hain Urvi ki taarif mein aur Urvi fuli nahi sama rahi hain”

    Ujjawal aur Rashi dono smile karte thode hans pade.

    Next episode mein padhiye in dosto ka yeh safar kaha le jata hain.

    [email protected]

    Leave a Comment