Swapping Ki Ek Hasin Raat – Episode 9

This story is part of the Swapping Ki Ek Hasin Raat series

    Ab tak aapne padha ki Ujjawal ne Urvi ke sath majaak karne ke liye Rashi ka sahara liya aur uske mumme dabaane ki acting ki. Jis se Urvi naaraj ho gayi.

    Ab aage…

    Breakfast karte huye Rohan, Kabir, Rashi ne bhi note kiya ki Urvi Ujjawal se thodi khinchi khinchi si rah rahi hain. Unhone iska kaaran bhi puchha.

    Kabir: “Ujjawal ne jarur kuchh kiya hoga. Aaj ke din mahaul kharaab mat karo. Urvi tum mere saath chalo”

    Kabir ne Urvi ko apne saath liya aur uska mood thheek karne ke liye Ujjawal se thoda dur le gaya. Usko break fast karwaya aur kuch logo se milwaya.

    Dusri taraf Rohan aur Rashi ne milkar Ujjawal ko gher liya ki usne aesa kya kiya ki Urvi naaraj ho gayi.

    Ujjawal: “Maine ek chhota sa majaak kiya aur Urvi naaraj ho gayi”

    Rohan: “Aesa kya kar diya!”

    Ujjawal: “Kal raat maine Urvi ko bola tha ki main kisi aur ladki ke mumme daba dunga”

    Rohan: “Itni si baat se wo naaraj ho gayi?”

    Ujjawal: “Aaj subah jab Rashi humein uthhhane aayi thi to maine Rashi ko aankh band kar khade rahne ko kaha tha aur iske mumme dabaane ki acting ki thi”

    Rashi ka muh khula ka khula rah gaya aur sharmaate huye gusse mein usne ek jor mukka Ujjawal ke baaju par maar diya. Rohan aur Ujjawal khilkhilakar hans rahe the.

    Rashi: “Tumney mera istemaal is kaam ke liye kiya! Tum aesa ganda sochte bhi kaise ho, tumse mujhe yeh ummeed nahi thi Ujjawal”

    Ujjawal: “Yeh original idea Rohan ka hi hain. Rohan ne college time par exactly yahi kiya tha, yaad hain tumhaare birthday par Rohan ne tumhe ankh band kar khade rahne ko kaha tha!”

    Rashi: “Haa, magar wo to gift dene ke liye aankh band karwayi thi”

    Rohan: “Nahi, maine Kabir ko kaha tha ki tum mujhe apne mumme dabvaaane ka return gift dene wali ho. Tumhaare aankh band karne ke baad maine apne dono haath tumhaare mummo ke aage nachaaye the”

    Rashi: “Main ja rahi hoon, main bhi naaraj hoon”

    Rohan ne Rashi ki kalai pakad kar apne paas khinch kar roka.

    Rohan: “Chinta mat karo, maine us din tumhaare mummo ko haath nahi lagaya tha aur Kabir ko bhi lag gaya ki maine jhooth bola tha ki tumney mujhe mumme dabaane ki permission di thi”

    Rashi ko thodi saantavana mili. Wo teeno hi hans rahe the. Thodi der baad Urvi ko lekar Kabir aa gaya.

    Rashi: “Urvi, abhi Ujjawal ne bataya ki usne tumhare saath kya majaak kiya tha. Tum chinta mat karo, yeh gande majak karna in sabki aadat hain”

    Kabir: “Ek news hain, jab hum sab log morning mein so rahe the, tab mujhe message mila, Zara apne ghar se yaha aane ko nikal chuki hain”

    Urvi ke alawa sabne Ujjawal ki taraf dekha jo sharma raha tha. Kuchh ghante baad baarat nikalne se pehle ki taiyari chal rahi thi aur Kabir ne sabko uske hisaab se taiyari karne ko bol diya.

    Rohan: “Magar baarat jaayegi kaha? Kiara ki family yaha aane wali hain?”

    Kabir: “Nahi, yahi paas mein hi Kiara ki family ka bhi pushteni ghar hain. Baarat wahi jaayegi. Mujhe bhi pehle pata nahi tha ki Kiara ka root bhi yahi se hain. isliye to shaadi yaha rakhwaayi hain”

    Sab log baarat mein jaane ke liye taiyar ho rahe the. Urvi aur Rashi ne bhaari lahanga choli pahna tha to ladko ne sherwani pahni thi.

    Ujjawal aur Rohan jaldi taiyar hokar Kabir ke paas gaye taaki uski bhi taiyar hone mein help kar sake. Rashi aur Urvi apna make up karne mein busy thi. Taiyar hote huye Kabir ko ek message mila.

    Kabir: “Zara baahar aa chuki hain. Tum me se koi usko yaha lekar aayega?”

    Ujjawal ne apne daato se apne honthh ko dabaate huye apne emotions dabaa liye. Rohan ne Ujjawal ki peethh thapthaap di.

    Rohan: “Ja Ujjawal ja, le aa apni Simran ko”

    Kabir: “Tu control rakhna Rohan, Zubin ke saamne aesa waisa kuchh bol mat dena varna Zara musibat mein aa jayegi. Ujjawal tu ja Zara ko receive karne”

    Ujjawal nervous hokar kamre se baahar nikla aur haveli ke darwaaje ki taraf badha. Raaste mein usko Rashi aur Urvi bhi taiyar hokar aati huyi dikhayi di jo Kabir ke room ki taraf aa rahi thi.

    Rashi: “Kaha ja rahe ho Ujjawal, hum log to idhar hi aa rahe hain!”

    Ujjawal: “Wo .. aayi hain …”

    Ujjawal ke muh se aur kuch nahi nikla aur shabd atak gaye. Urvi aascharya se dekh rahi thi par Rashi ko sab samajh aa chuka tha.

    Ujjawal: “Rashi tum chalogi saath mein?”

    Rashi: “Nahi, yeh kaam tumhe hi karna hoga”

    Rashi ne Urvi ki kalai pakdi aur khinch kar apne saath Kabir ke kamre ki taraf badh gayi. Ujjawal ek baar phir bhaari kadmo se baahar ki taraf jaane laga.

    Baahar kaafi log the aur achchhi khhaasi chahal pahal thi jo shaadi waley ghar ke baahar hoti hain. DJ par romantic music baj raha tha.

    Idhar Rashi aur Urvi Kabir ke kamre ke baahar the aur darwaje par knock kiya. Kabir ne andar se hi awaaj laga kar andar aane ki ijaajat di.

    Dulhan ki tarah saji Rashi lahange aur choli mein kamre ke andar aayi. Uske saath mein Urvi bhi utni hi saji sawri andar daakhil huyi par Kabir ki najre to Rashi par hi tiki thi.

    Urvi par bhi kisi ki najar thi par wo Rohan tha. Yellow aur blue color ke lahange choli mein gauri damkati Urvi ko dekh kar Rohan ke chehre par ek smile aa gayi. Rohan ne aage badhte huye Urvi ka raasta rok diya aur taarifo ke pool baandh diye.

    Rohan: “Yaaar Urvi, tum aaj Urvi nahi Urvashi lag rahi ho aur yeh apsara swarg se utar kar yaha jamin par kaise aa gayi hain! itna husn kaha se laati ho tum roj!”

    Urvi apni taarife sun sharmaaye huye sikudi ja rahi thi. Dusri taraf Kabir bina bole hi Rashi ki najro se najre milaaye bahut kuchh kahte huye uski taarif kar raha tha.

    Rashi kabhi apni najre jhuka leti to kabhi Kabir se najre mila kar sharma uthhti. Rashi ne phir us ajeeb stithi se baahar aate huye baat shuru ki.

    Rashi: “Bahut achchhe lag rahe ho dulhe ke vesh mein”

    Kabir: “Tumhaare saamne kuchh bhi nahi hoon. Hamesha ki tarah bahut attractive lag rahi ho tum”

    Rohan ne bhi apni saari taarife puri tarah Urvi ke upar undhel kar lagbhag khatm kar di thi. Urvi aur Rohan phir kabir ki taraf palte. Kabir aur Rashi aas paas sharmaaye khade the.

    Urvi: “Rohan, in dono ko dekho, aesa lag raha hain ki dulha dulhan yeh dono hi hain. Tum dono ki jodi achchhi lag rahi hain”

    Kabiir aur Rashi smile karte sharmaane lage.

    Rohan: “Agar main nahi hota to shayad aaj yaha in dono ki hi shadi ho rahi hoti. Main soch raha hoon ki aaj phir se shaadi kar lu, tum ready ho na Urvi iske liye?”

    Urvi: “6 mahine pehle hi main kisi ke saath bandh chuki hoon, pehle bolte to alag baat thi”

    Rohan: “Shaadi naa sahi, suhaagraat hi mana lo mere saath!”

    Rashi phir Kabir se thoda dur ho gayi aur Rohan ke paas aa gayi.

    Rashi: “Kya kuchh bhi bolte rahte ho!!””

    Rohan: “Khubsurat ladkiyo ki taarif to honi chahiye”

    Urvi: “Yeh Ujjawal kisko lene gaya hain?”

    Rohan: “Thodi der ruko, phir mil lena apni saut…”

    Rashi ne ek haath se Rohan ki peethhh par haath lagaate huye usko bolne se roka. Rohan bolte bolte ruk gaya. Urvi aadhe adhure sentence ko sunkar thoda aascharya mein pad gayi.

    Urvi: “Kya bol rahe the?”

    Rashi: “Kuchh nahi, hamare college ki friend Zara ko lene gaya hain Ujjawal”

    Urvi: “Haa, kal tum log baat rahe the koi aane wala hain”

    Udhar Ujjawal ki najre itne logo ke beech light green anarkali kurta pahne aur khule baalon mein khadi Zara par padi. Usko to Ujjawal kaafi saari bheed mein bhi aasaani se pahchaan sakta tha.

    Halki sardi ki us gulaabi dhoop mein jab surya ki kirne Zara ke chehre par pad rahi thi to uska gaura chehra aur bhi damak raha tha aur gulaabi lipstick mein range honthh chamak rahe the.

    Halki hawa ke saath Zara ke khule baal thode hawa mein lahra rahe the. Zara ke chehre par halka sa tanaav tha kyu ki usko nahi pata tha ki is bheed mein kaha jaana hain. Ujjawal ka chaand aaj din mein hi ugh gaya tha.

    Ujjawal ka rom rom Zara ko dekh kar khil uthha tha. Pure ek saal baad Zara ko dekh raha tha. College mein apne pyaar bhare dino mein ek din bhi bina miley unko chain nahi padta tha.

    College mein chhuttiyo ke din bhi wo dono kisi ka kisi bahaane mil hi lete the aur tab socha nahi tha ki kabhi aapas mein dekhe unko 1 saal ho jayega.

    Ujjawal wahi khada hokar Zara ke chehre mein khokar dekhta hi rah gaya. Abhi bhi Zara waisi ki waishi hi thi. Dubli aur khubsurat chehre ke tej ke saath.

    Zara ka college mein pahla din tha, us din bhi wo isi tarah bheed mein khoyi huyi si thi aur tab pahli baar Ujjawal ne usko dekha aur dekhte hi usi ka ho gaya tha.

    Ujjawal ne us waqt bhi Zara ki madad ki thi sahi raasta dikhaane mein aur phir un dono ki aesi dosti huyi jo kuchh mahino mein hi pyaar mein badal gayi. Zamaane ki dakhal ke kaaran unka pyaar shaadi tak nahi pahuch paya tha.

    Zara ko nihaarate Ujjawal ka dhyaan tuta jab ek mardana haath Zara ke kandhe par aaya aur usko apni taraf khinch liya. Ujjawal ne dhyaan diiya ki jis aadmi ne Zara ko apni taraf khincha tha wo uska husband Zubin ho sakta hain.

    Next episode mein padhiye lambe samay baad Zara aur Ujjawal ki mulaqaat kaisi rahegi.

    [email protected]

    Leave a Comment